Tuesday, December 10, 2013

Ek Ankahee......




Bat chhoti si hai ,
Magar badi gehri hai,
Itni, jitni dil ki gehraiyon me chhupe dard,
Ya sayad jitney namkeen aasuon me chhupi meethi hansi,
Ya fir sayad jitni surkh hoton ki feeki muskaan.
Gham hamesh yehi raha, ki tum kabhi samjh na sake,
Aur main,
Samjha hi nahi saki tumhe,
Wahi chhoti si bat.
Keh hi na saki tumse ki kya hai mere man me.
Kuchh ehsas tumhare pas bhi the,
Nahi janti kya,
Dosti, mohabbat ya fir kuchh aur,
Tum chalak the,
Kehna jante the,
Jatana jante the ,batana jante the.
Ek pal me dost bana lete to agle pal sabse achha dost.
Kabhi apna sab kuchh,
To kabhi jaise ek anjaan.
Jab pyaar aata to main sab kuchh thi
Aur kabhi dil khush na ho,
To gussa utarne ka bas ek sabab.
Lekin achha lagta tha mujhe bhi,
Tumhara kabhi wo pyaar jatana
To kabhi gussa utarna.
Lekin ek kasak hai mere man me,
Ya ek khwahish hi keh lo,
Jeena chahti hoon,
Kuchh din tumhare sath,
Kuchh is tarah ki maut ka gham na ho,
Jindagi ke kuchh pal aise mile ki,
Umar bhar ki maut bhi zindagi lage.
Lekin meri badkismati to dekho,
Ye bhi nahi keh sakti tumse,
Hamesha ki tarah chup hoon,
Aur sayad aise hi chali jaoongi ek din.
Dur, bahut dur.
Jahan na hoge tum, na tumhari yadein.
Aur na meri zindagi.........
               




No comments:

Post a Comment